Itna hoga ando se kamayi
Hello Dosto, Aaj fir se hum baat karenge poultry farm waali business ke baare me. Kitna invest karna hai kya project hai kitna faayda hoga ye sab main aap ko apni pichli 3 post me bata chuka hoon. Main unka link post ke niche daal dunga. Aap shuru se padhenge to aap ke liye achha hoga. Aur jyada samajh bhi aayega isliye shuru se meri post padhna.
Image Source rambler.ru
Kal main aap ko ande kitne honge ye sab bataya tha lekin ando se kitna faayda hoga ye maine aap ko nahi bataya tha. Aaj hum isi baat par charcha karenge. to chaliye dosto fir shuru karte hai.
Ando se kitna hoga faayda.
Dosto NABARD ke project ke anusaar agar aap 10k murgiyo se broiler farming shuru karte hai to aap pahle hi saal average 30 se lekar 3 lakh rupya ka anda bech sakte hai. Thik ek saal baad murgiyo ko chicken ke liye bech diya jaata hai. Matlab samajh rahe ho na aap? Murgiya chicken ban jaati hai aur usko fir khaane ke liye bech diya jaata hai. Usme aap ko lakh rupya tak ki kamayi ho jaayegi.
Jaisa ki maine aap ko pahle post me bataya tha iss ka total cost 25-30 lakh rupya hoga aur iss me aap ko har saal 12-15 lakh rupya ka profit ho jaayega. Aur kya chahye dosto itna mil gaya to aur kya chahye. Itna aaj kal kamaana asaan nahi hai bas investment hona chahye fir sab asaan ho jaata hai.
Jagah ki bahut jarurat hai iss me.
Ye business aisa hai ki iss me aap ko space jyada chahye hoga. Lekin dosto ye business aap village area me bhi kar sakte ho udhar jameen sasti hoti hai. Koi jaruri nahi ki aap iss business ko town me kare. Kahi se bhi aap iss business ko kar sakte hai aur shahr me karenge to jagah jyada lagegi faltu me kharcha jyada hoga.