Mujhe nahi pasand football
Iss duniya ka sab se bada koi sports hai to wo hai football, Adhiktar log ye khel dekhte hai bahut se log khelte bhi hai. Bahut se log alag alag kalakari bhi dikhaate hai football se. Ye koi chota mota khel nahi hai. Sayad aap bhi football ke fan honge aap ko bhi ye pasand hoga. Lekin yaar mujhe bilkul bhi pasand nahi hai aur mujhe ye khelne me bhi darr lagta hai. Chalo aap ko apni kahani batata hoon.
Image source
Jab main chota tha to bahut kamjor tha waise bhi main abhi bhi kamjor hi hoon yaar. Aap ko sayad pata nahi mera haath 2 baar toot chuka hai ek baar diwal se gir gaya tha aur ek baar sala cricket khelte huye catch pakad raha tha tabhi gir gaya aur haath toot gaya. Waise cricket to main bachpan me bahut khelta tha lekin ab nahi khelta hoon.
Football khelne me bahut darr lagta hai.
Bachpan me kamjor tha isliye football nahi khelta tha main sab mere dost log khelte they girte they chot lagta tha aur main to bhai darpok tha bahut kamjor tha isliye bahut darta tha isliye main nahi khelta tha. Waise bhi sala 2 baar haath toot chuka tha aur khelta bhai to haath aur tootte aur football khelne me jyada log girte hai. Barsaat ke mausam me jyada football khelte hai aur tabhi to yaar aur bhi bhayank lagta hai.
Iss ko khelne me sala girne ka bhi darr aur pair se maaro to pair me chot lagne ke bhi darr. Bahut darr hai bhai khelna asaan nahi hai football. Aur to aur football dekhta bhi nahi main. Mujhe ye bhi nahi pata ki kitne khiladi akhir hote hai football me. Bas ye pata hai ki goal karna padta hai baaki aur kuch nahi pata yaar football ka.
Main to football dekhta bhi nahi hoon tv par lekin mere kayi dost dekhte hai. Waise India me football ka itna mahatv nahi hai jitna cricket ka hai lekin overseas me logo ko football hi jyada pasand hai. Iss me koi shak nahi hai logo ko cricket se jyada football achha lagta hai dekhne me.
Main sirf cricket dekhta hoon.
Mujhe na bhai cricket ke alawa kuch pasand nahi hai. Main bas ek hi sports dekhta hoon aur wo koi aur nahi balki cricket hai. Mujhe ye dekhne me bahut jyada maja aata hai aur IPL ho ya world cup ho ya 20-20 match ho main dekhta hoon. Bas main test match nahi dekhta hoon wo mujhe dekhne me maja nahi aata hai aur bahut hi boaring lagta hai isliye main dekhne nahi jaata hoon. Mera matlab main nahi dekhta hoon.
Afsos ki baat ye hai ki cricket ab iss duniya se khatam hota jaa raha hai. Sabhi logo ko bas football pasand hai aur log bas ronaldo aur messi karte rahte hai. Itna famous to koi crickter nahi hai. Kya kare yaar duniya waalo ko bas football dikhta hai dusre khel me koi interest leta hi nahi hai.
aray bhai itna kesa likh laita ho kamal kar dia wesa ap na kitni powere li ha bara risky platform ha ya reward ziada ha ksi time bhi price gir jae gi
aur kuch kaam hai nahi bas din bhar baith kar likhta rahta hoon. :D :D aur maine power nahi li hai post kar ke iss ka tag laga deta hoon koi na koi kisi post me free me vote de deta hai. Itna lamba likhne ka kuch to faayda ho jaata hai.
You got a 87.59% upvote from @minnowvotes courtesy of @akshaykumar12257!