Kuta Dog isnan ka acha dost hai.
Hi friends, Mujhey aaj mera kutta yad aa raha hai jo ham ne apne purane ghar main pala hua tha us time meri umar bahut kam thi main bahut chota tha us waqat. Wo aik kaley rang ka kuta tha jo k bahut hi wafadar tha. Aik dafa meri maan khaitoun main gae hue thien wo wahan pe apna khaney wala tiffen bhool aein or janwaroun k leye chara le kar ghar aa gaein. Kafi dair k bad unhain yad aya k wo khaney wala tiffen udhar khaitoun main bhool ae hain to wo wapas gae or jab wahan gaien to tiffen wahee para tha or hamar kutta bhe wahee baitha uski hifazat kar raha tha.
source: https://pixabay.com/en/dog-water-run-movement-joy-1212400/
Kutey bahut hi wafadar hotey hain. Wo kuta muje bhi bahut payara tha. Wo aik din bahut sakht bemar hua uske jisam main zakhm ho gay th shayad kisi se uski larae hue thi. Ami ne bahut dawa ki or medicine bhi di par wo theek na ho saka or foat hogaya.
par muje wo ab bhi yad aata hai.
The Russians trained dogs during WWII to run suicide missions with mines strapped to their backs.
Dogs should not be used for this purpose. Because dog has also soul. Why not they use latest technology for this purpose?