Now You Can Get Xiaomi Mi 6 With 6700mAh, 7000mAh Or 9000mAh Battery

in #technical7 years ago

Xiaomi ne isi saal April mein apna flagship smartphone Mi 6 announce kiya tha, jo 3350mAh ki battery ke saath Chinese market mein uplabdh hai. Halaanki 5.15 inch ki display ko dekhte huye itni battery uchit hai, lekin phir bhi battery jitni badi ho, logon ko phone utna hi behtar lagta hai.
Xiaomi-Mi-6-2.jpg

Xiaomi ka Mi 6 Chinese website taobao.com par 9000mAh tak ki battery ke saath uplabdh hai. Hairaan mat hoiye, ye bilkul sach hai, is website par Mi 6 ki, 3 aur bigger batteries aapko mil sakti hain. 6700mAh ki battery aapko ¥220 lagbhag Rs. 2098 mein mil sakegi, 7000mAh ki battery ko aap ¥260, approximately Rs. 2479 mein kharid sakte hain. Iska sabse bada option yaani ki 9000mAh battery aapko lagbhag Rs. 3243 mein mil jayegi.

Mi-6-Battery-2.jpg

Yahaan se aap apna battery back up to badha sakte hain lekin battery replace karne ke liye Mi 6 smartphone ke rear panel ko hataana padega jiske baad company ki taraf se shayad aapka phone warranty mein na rahe. Iske alawa badi battery lagaane ke baad aapke phone par wapas rear panel ka fit hona possible nahi hai aur jo rear panel aapko milega usmein ek bada battery bump dekhne ko milega. Iske baad aapka phone kuch is tarah se dikhega.

Mi-6-Battery-6.jpg

Rear panel ke change hone ke baad bhi, ,baaki specifications wahi rahenge jo kuch is prakaar hain, 5.15 inch ki full HD display, jo 64 bit 2.45GHz Octa Core Qualcomm Snapdragon 835 10nm processor dwara sanchaalit hota hai. Is dual SIM smartphone mein aapko 6GB RAM aur 64GB ya 128GB onboard memory ka vikalp milta hai, yahaan aapko microSD card ki kami zarur khalegi.
Iske alawa Mi 6 mein aapko 12 MP ka rear camera jo dual Led flash light ke saath aata hai aur 8 MP ka front camera bhi milta hai. Is phone mein originally aapko 3350mAh ki battery milti hai, jo normal hai aur yadi aap ise badhana chahte hain to taobao.com par visit kar sakte hain, lekin ye kitna safe hoga, ye keh paana thoda mushkil hai.

Sort:  

Not indicating that the content you copy/paste is not your original work could be seen as plagiarism.

Some tips to share content and add value:

  • Using a few sentences from your source in “quotes.” Use HTML tags or Markdown.
  • Linking to your source
  • Include your own original thoughts and ideas on what you have shared.

Repeated plagiarized posts are considered spam. Spam is discouraged by the community, and may result in action from the cheetah bot.

Creative Commons: If you are posting content under a Creative Commons license, please attribute and link according to the specific license. If you are posting content under CC0 or Public Domain please consider noting that at the end of your post.

If you are actually the original author, please do reply to let us know!

Thank You!

Hi! I am a robot. I just upvoted you! I found similar content that readers might be interested in:
http://sharmajitech.in/now-can-get-xiaomi-mi-6-6700mah-7000mah-9000mah-battery/