The Sahabi Tree 1400 Years old. "Blessed Tree"

in #travel7 years ago (edited)

Aslaam o Alaikum!

"English Verson"

Today I am going to share with you an amazing Tree story which is no doubt a Blessed Tree. This tree is called "Sahabi Tree" in Arabic. This tree is 1400 Years old. 

Story:

In older times this was the Man route to travel from Mecca to Syria. Hazrat Abu Talib RA (Uncle of Prophet Muhammad Peace Be Upon Him) once traveled to Syria with Prophet Muhammad Peace Be Upon Him. When the Caravan reach at this point. They take some rest beneath this tree. At this moment A monk Rahib was also there. He is seeing all this. He see that tree bow his branches on the little child(Prophet Muhammad Peace Be Upon Him) and a peace of cloud also came there on the tree. Rahib offers an invitation to serve food at his cottage. The Caravan accept his invitation. When he saw that little child ( Prophet Muhammad Peace Be Upon Him) He then believes that you are the Last Prophet of God. He says to Hazrat Abu Talib that don't go to Syria because the Jewish will recognize Prophet Muhammad Peace Be Upon Him & harm Him. So Hazrat Abu Talib decided to return from there. 

"The Tree is still alive & so lovely. It is the only tree in that desert there is no tree there far away."

"Urdu Language Verson"

Aaj main aap logoun ki khidmat main aik bahut hi malumati post le kar aya houn. Jis se apki malumat or Eman dono main izafa hoga. Dunia main aj bhi aik aisa darakht mojud hai jo Huzur e Pak SAWW k zamaney se zinda hai. Or aaj bhi wese hi ghana or sarsabz hai. Isey "Sahabi Tree" k nam se jana jata hai. 

....................................................

Sahabi Tree ki Tareekh: 

Makkah waley tijarat k leye Mulk e Sham jaya kartey they. Sham janey k leye jo rasta istemal hota tha wo Jordan se guzarta tha. Hazrat Abu Talib RA bhi aik martaba safar e Sham par rawana huey to Apne Huzur e Pak SAWW ko bhi sath le lia. Aap SAWW ki umar e mubarik us waqat bahut kam thi par Hazrat Abu Talib RA Aap SAWW se bahut payar karte isley Aap SAWW ko hamarah lia. 

Qafila jab wahan se nikla to rastey main aik Buhaira naami Rahib jo k Nasranion ka Imam tha wo majoosi tha or usey Yaqeen tha k Aap SAWW ka guzar bhi is rastey se hoga. Bil-Akhir Aik din usey door se aik Qafila ata dikhae dia. Wo daikhta hai k Qafiley ne aik darkhat k neeche Qayam kia or us darkht k uper aik badal ka Tukra hai. Or Aik Nanha sa Bacha hai jo Us Qafila main Shamil hai or Darakht ki Shakhain us Nanhey Bachey par jhuk gae hain. Jab wo ye sara Majra daikhta hai to wo Qafila k leye Khana tayar karwata hai or Qafila waloun ko Khaney ki dawat deta hai jo wo Qabool kar lete hain. Buhaira us chotey bachey ko Apni kitab main di gae Nishanion se pehchan laita hai k Allah Taala k akhri Nabi Hazrat Muhammad SAWW hain. Wo rahib phir Hazrat Abu Talib RA se kehta hai k Aap agey na jain kioin k Yahoodi Aap SAWW ko apki nishanion se pehchan lain ge or Apko nuqsan phnchain ge. to Hazrat Abu Talib RA wahee se wapas Makkah loat jatey hain. 

....................................................................................................................................................

"Ye Darakht Jordan k Shumal main waqey Sehra main aj bhi tar o taza mojud hai.Is k har taraf Sehra hi Sehra hai or ye akaila aj bhi tar o taza mojud hai."